tang-dasti mein bhi ashaar nahin beche hain
tang-dastī meñ bhī ash'ār nahīñ beche haiñ
apne aslāf ke āsār nahīñ beche haiñ
maiñ ne beche haiñ sabhī ḳhvāb-jazīre apne
tere gulshan tire ashjār nahīñ beche haiñ
maiñ ne iflās kī āñkhoñ meñ haiñ āñkheñ Dālīñ
ghar ke bartan sar-e-bāzār nahīñ beche haiñ
kaun letā hai ye isnād ke TukḌoñ ko yahāñ
maiñ ne tamġhe mirī sarkār nahīñ beche haiñ
maiñ ne to thaam ke rakkhe haiñ vo maazī ke mazār
maiñ ne islām ke afkār nahīñ beche haiñ
tang-dasti mein bhi ash'ar nahin beche hain
apne aslaf ke aasar nahin beche hain
main ne beche hain sabhi KHwab-jazire apne
tere gulshan tere ashjar nahin beche hain
main ne iflas ki aankhon mein hain aankhen Dalin
ghar ke bartan sar-e-bazar nahin beche hain
kaun leta hai ye isnad ke TukDon ko yahan
main ne tamghe meri sarkar nahin beche hain
main ne to tham ke rakkhe hain wo mazi ke mazar
main ne islam ke afkar nahin beche hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.