Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai ka ilaj ye mahnga bahut paDa

Saurabh Shekhar

tanhai ka ilaj ye mahnga bahut paDa

Saurabh Shekhar

MORE BYSaurabh Shekhar

    tanhā.ī ilaaj ye mahñgā bahut paḌā

    uktā ke maiñ ne news channel lagāyā thā

    bas ye ki vaj.h-e-tark-e-ta.alluq kuchh rahe

    us ne zarā baat pe jhagḌā khaḌā kiyā

    bigḌail ho chale the ka.ī din se mere ḳhvāb

    sach chhaḌī se shaam unheñ sīdhā kar diyā

    kholā thā raat maazī ek album ki uf

    yādoñ mere zehn meñ tāntā bañdhā rahā

    vo baar baar pūchh rahā thā vahī savāl

    majbūr ho ke jhuuT mujhe bolnā paḌā

    dariyā ne mere paañv akhāḌe shurūa meñ

    jab maiñ DaTā rahā to vo kamzor paḌ gayā

    tanhā.ī tumhārī thā mumkin yahī ilaaj

    ghar ke har ek kone ko chīzoñ se bhar diyā

    tanhai ka ilaj ye mahnga bahut paDa

    ukta ke main ne news ka channel lagaya tha

    bas ye ki wajh-e-tark-e-talluq hi kuchh rahe

    us ne zara si baat pe jhagDa khaDa kiya

    bigDail ho chale the kai din se mere KHwab

    sach ki chhaDi se sham unhen sidha kar diya

    khola tha raat mazi ka ek album ki uf

    yaadon ka mere zehn mein tanta bandha raha

    wo bar bar puchh raha tha wahi sawal

    majbur ho ke jhuT mujhe bolna paDa

    dariya ne mere panw akhaDe shurua mein

    jab main DaTa raha to wo kamzor paD gaya

    tanhai ka tumhaari tha mumkin yahi ilaj

    ghar ke har ek kone ko chizon se bhar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now