Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tapish-e-soz-e-darun aur baDha dete hain

Iftikhar Ahmad Alvi Kakori

tapish-e-soz-e-darun aur baDha dete hain

Iftikhar Ahmad Alvi Kakori

MORE BYIftikhar Ahmad Alvi Kakori

    tapish-e-soz-e-darūñ aur baḌhā dete haiñ

    aap sho.aloñ ko jo āñchal se havā dete haiñ

    bāda-e-nāb nigāhoñ se pilā dete haiñ

    jis ko chāheñ use mansūr banā dete haiñ

    kab asīrān-e-sitam dars-e-vafā dete haiñ

    haañ tire jaur-e-taġhāful patā dete haiñ

    allah allah mah-o-ḳhurshīd ke rangīñ vo nuqūsh

    darmiyāñ se jo har ik parda uThā dete haiñ

    kabhī socheñ to pas-e-parda-e-sad-husn jafā

    aap kis jurm ham ko ye sazā dete haiñ

    jaan de de ke sabhī paate haiñ me'rāj-e-baqā

    kyoñ hameñ aap ye jiine du'ā dete haiñ

    ham ko yuuñ chheḌ na ai barq-e-masā.ib paiham

    ek aah meñ ham arsh hilā dete haiñ

    pūchhte kyā ho tum in gauhar-e-mizhgāñ ke mizāj

    haiñ to shabnam se magar aag lagā dete haiñ

    ḳhush-numā.ī hai faqat jauhar-e-zātī 'alavī'

    kāġhazī phuul kahāñ bū-e-vafā dete haiñ

    tapish-e-soz-e-darun aur baDha dete hain

    aap shoalon ko jo aanchal se hawa dete hain

    baada-e-nab nigahon se pila dete hain

    jis ko chahen use mansur bana dete hain

    kab asiran-e-sitam dars-e-wafa dete hain

    han tere jaur-e-taghaful ka pata dete hain

    allah allah mah-o-KHurshid ke rangin wo nuqush

    darmiyan se jo har ek parda uTha dete hain

    kabhi sochen to pas-e-parda-e-sad-husn jafa

    aap kis jurm ki hum ko ye saza dete hain

    jaan de de ke sabhi pate hain me'raj-e-baqa

    kyon hamein aap ye jine ki du'a dete hain

    hum ko yun chheD na ai barq-e-masaib paiham

    ek hi aah mein hum arsh hila dete hain

    puchhte kya ho tum in gauhar-e-mizhgan ke mizaj

    hain to shabnam se magar aag laga dete hain

    KHush-numai hai faqat jauhar-e-zati 'alawi'

    kaghazi phul kahan bu-e-wafa dete hain

    Source:

    Beesvin Sadi Ke Shora-e-Dehli (Pg. 209)

      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now