taqdir kab talak ye rakhegi Dhalan mein

Aslam Saifi

taqdir kab talak ye rakhegi Dhalan mein

Aslam Saifi

MORE BYAslam Saifi

  taqdīr kab talak ye rakhegī Dhalān meñ

  tadbīr le uḌegī mujhe āsmān meñ

  ab aur sabr tujhe kyā chāhiye ḳhirāj

  maiñ ne to apnī jaan bhī de lagān meñ

  us bhī aaj beTā huā maut shikār

  jo bechtā thā naqlī davā.eñ dukān meñ

  tafrīq marīz ta.assub ho shikār

  aisā nahīñ hai koī mere ḳhāndān meñ

  shahr-e-adab meñ DhūñDnā mushkil nahīñ mujhe

  maiñ huuñ kirā.e-dār ġhazal ke makān meñ

  'saifī' miThās kis meñ hai itnī batā.iye

  jitnī miThās hai merī urdu zabān meñ

  taqdir kab talak ye rakhegi Dhalan mein

  tadbir le uDegi mujhe aasman mein

  ab aur sabr ka tujhe kya chahiye KHiraj

  main ne to apni jaan bhi de di lagan mein

  us ka bhi aaj beTa hua maut ka shikar

  jo bechta tha naqli dawaen dukan mein

  tafriq ka mariz tassub ka ho shikar

  aisa nahin hai koi mere KHandan mein

  shahr-e-adab mein DhunDna mushkil nahin mujhe

  main hun kirae-dar ghazal ke makan mein

  'saifi' miThas kis mein hai itni bataiye

  jitni miThas hai meri urdu zaban mein

  Source :
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY
  Speak Now