taraf-dari nahin karte kabhi hum un makanon ki
taraf-dārī nahīñ karte kabhī ham un makānoñ kī
chhateñ jin kī himāyat chāhtī hoñ āsmānoñ kī
ye colony hai yā bāzār hai be-rozgāroñ kā
jidhar dekho qatāreñ hī qatāreñ haiñ dukānoñ kī
murādābād meñ kārīgarī Dhotā huā bachpan
liye phirtā hai sāñsoñ meñ siyāhī kār-ḳhānoñ kī
ugā hai phir nayā sūraj dishā.eñ ho ga.iiñ raushan
parindo tum bhī ab tayyāriyāñ kar lo uḌānoñ kī
tū jis insāf kī devī ke aage giḌgiḌātā hai
vo tujh ko nyaay kyā degī na āñkhoñ kī na kānoñ kī
tum us ko bevafā ai 'nāz' sābit kar na pāoge
baḌī lambī sī ik fehrist hai us par bahānoñ kī
taraf-dari nahin karte kabhi hum un makanon ki
chhaten jin ki himayat chahti hon aasmanon ki
ye colony hai ya bazar hai be-rozgaron ka
jidhar dekho qataren hi qataren hain dukanon ki
muradabaad mein karigari Dhota hua bachpan
liye phirta hai sanson mein siyahi kar-KHanon ki
uga hai phir naya suraj dishaen ho gain raushan
parindo tum bhi ab tayyariyan kar lo uDanon ki
tu jis insaf ki dewi ke aage giDgiData hai
wo tujh ko nyay kya degi na aankhon ki na kanon ki
tum us ko bewafa ai 'naz' sabit kar na paoge
baDi lambi si ek fehrist hai us par bahanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.