tark-e-sauda ho aagahi ke liye
tark-e-saudā ho āgahī ke liye
kitnā dushvār hai ye jī ke liye
zindagī ke ujāḌ-ḳhāne meñ
ḳhvāb rakkhe haiñ dilkashī ke liye
hoñT māmūr haiñ tabassum par
ek vahshat-zada ḳhushī ke liye
kis ne maqtal meñ bar-sar-e-neza
maut se kaam zindagī ke liye
saare 'ālam kī ne'mateñ maulā
ek be-lāg aadmī ke liye
ek dastār ban ga.ī phāñsī
ek kumbe kī lāDlī ke liye
aaj qurbān kī ga.iiñ ḳhushiyāñ
ġham kī tashrīf-āvrī ke liye
rabt rakhiye ḳharāb-hāloñ se
apnī ḳhush-hāl zindagī ke liye
kaun kis moḌ par bichhaḌ jaa.e
raah mat chhoḌiye kisī ke liye
ādmiyyat ke shar se bachne kī
koī tadbīr aadmī ke liye
tark-e-sauda ho aagahi ke liye
kitna dushwar hai ye ji ke liye
zindagi ke ujaD-KHane mein
KHwab rakkhe hain dilkashi ke liye
honT mamur hain tabassum par
ek wahshat-zada KHushi ke liye
kis ne maqtal mein bar-sar-e-neza
maut se kaam zindagi ke liye
sare 'alam ki ne'maten maula
ek be-lag aadmi ke liye
ek dastar ban gai phansi
ek kumbe ki laDli ke liye
aaj qurban ki gain KHushiyan
gham ki tashrif-awri ke liye
rabt rakhiye KHarab-haalon se
apni KHush-haal zindagi ke liye
kaun kis moD par bichhaD jae
rah mat chhoDiye kisi ke liye
aadmiyyat ke shar se bachne ki
koi tadbir aadmi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.