Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwur mein hamare bhi kisi ka husn palta hai

Uddhav Mahajan Bismil

tasawwur mein hamare bhi kisi ka husn palta hai

Uddhav Mahajan Bismil

MORE BYUddhav Mahajan Bismil

    tasavvur meñ hamāre bhī kisī husn paltā hai

    taġhazzul charāġh is vāste āñkhoñ meñ jaltā hai

    hamāre dil meñ uThtī haiñ havā.eñ dard jis dam

    hamāre dil meñ taḳhlīqāt tūfāñ machaltā hai

    zamāna hai na jaane kab ye ruḳh apnā badal Daale

    havā par iḳhtiyār āḳhir kahāñ insāñ chaltā hai

    fasīloñ meñ muqayyad hai hamārī zindagī lekin

    parinde tarah parvāz ko ye dil machaltā hai

    maiñ Takrātā huuñ tūfāñ se isī īmān par 'bismil'

    mire har azm-e-rāsiḳh se havā ruḳh badaltā hai

    tasawwur mein hamare bhi kisi ka husn palta hai

    taghazzul ka charagh is waste aankhon mein jalta hai

    hamare dil mein uThti hain hawaen dard ki jis dam

    hamare dil mein taKHliqat ka tufan machalta hai

    zamana hai na jaane kab ye ruKH apna badal Dale

    hawa par iKHtiyar aaKHir kahan insan ka chalta hai

    fasilon mein muqayyad hai hamari zindagi lekin

    parinde ki tarah parwaz ko ye dil machalta hai

    main Takraata hun tufan se isi iman par 'bismil'

    mere har azm-e-rasiKH se hawa ka ruKH badalta hai

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 104)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now