tasawwur mein tujhko liye ja rahe hain
tasavvur meñ tujh ko liye jā rahe haiñ
tirī aarzū ham kiye jā rahe haiñ
ġhamoñ kī virāsat liye jā rahe haiñ
ḳhushī kā bharam ham kiye jā rahe haiñ
vo Thukrā chuke haiñ hameñ bārhā par
ham apnī vafā.eñ diye jā rahe haiñ
kabhī ḳhud se laḌ kar kabhī vaqt se ham
'adū se ziyāda ji.e jā rahe haiñ
jo raushan the kal tak bujhe is tarah se
havā ke havāle diye jā rahe haiñ
bayāñ kis se kar deñ sukūt-e-mohabbat
usī ko sadā.eñ diye jā rahe haiñ
ai 'amjad' tumhārī ye hālat hai kaisī
ḳhudā ke bharose ji.e jā rahe haiñ
tasawwur mein tujh ko liye ja rahe hain
teri aarzu hum kiye ja rahe hain
ghamon ki wirasat liye ja rahe hain
KHushi ka bharam hum kiye ja rahe hain
wo Thukra chuke hain hamein barha par
hum apni wafaen diye ja rahe hain
kabhi KHud se laD kar kabhi waqt se hum
'adu se ziyaada jie ja rahe hain
jo raushan the kal tak bujhe is tarah se
hawa ke hawale diye ja rahe hain
bayan kis se kar den sukut-e-mohabbat
usi ko sadaen diye ja rahe hain
ai 'amjad' tumhaari ye haalat hai kaisi
KHuda ke bharose jie ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.