tawaf-e-ka’ba-e-dil bar-bar karte hue
tavāf-e-kā’ba-e-dil bār-bār karte hue
thakā nahīñ maiñ kabhī zikr-e-yār karte hue
kis e'timād se paanī pe rakh rahā huuñ qadam
shikoh-e-'ijz se dariyā ġhubār karte hue
nikal gayā maiñ hudūd-e-bahisht se aage
tire ḳhayāl kā mausam bahār karte hue
lagī hai aañkh tire ḳhvāb ke ta'āqub meñ
thakā nahīñ huuñ tirā intizār karte hue
vo yuuñ huā ki mire haath lag gayā sūraj
siyāh shab meñ sitāra shikār karte hue
havā meñ aag ke paikar uḌā rahā huuñ maiñ
tilism-e-dīd se sho'la sharār karte hue
chhalak paḌe mirī āñkhoñ se kuchh gurezāñ ashk
use jahāz pe 'āsim' savār karte hue
tawaf-e-ka’ba-e-dil bar-bar karte hue
thaka nahin main kabhi zikr-e-yar karte hue
kis e'timad se pani pe rakh raha hun qadam
shikoh-e-'ijz se dariya ghubar karte hue
nikal gaya main hudud-e-bahisht se aage
tere KHayal ka mausam bahaar karte hue
lagi hai aankh tere KHwab ke ta'aqub mein
thaka nahin hun tera intizar karte hue
wo yun hua ki mere hath lag gaya suraj
siyah shab mein sitara shikar karte hue
hawa mein aag ke paikar uDa raha hun main
tilism-e-did se sho'la sharar karte hue
chhalak paDe meri aankhon se kuchh gurezan ashk
use jahaz pe 'asim' sawar karte hue
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 92)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.