tegh rakhte hain na hum tir-o-tabar rakhte hain
teġh rakhte haiñ na ham tīr-o-tabar rakhte haiñ
haañ yazīdoñ se na jhuk paa.e vo sar rakhte haiñ
be-ḳhabar logoñ ko ehsās nahīñ hai is kā
jo ḳhabar vaale haiñ har shai kī ḳhabar rakhte haiñ
phūTī kauḌī ke nahīñ haiñ ye magas jaise log
sirf insān ke zaḳhmoñ pe nazar rakhte haiñ
koī yārān-e-sharī'at se ye jā kar pūchhe
pahle dil rakhte haiñ sajde meñ ki sar rakhte haiñ
hai koī ham meñ jo thaktā nahīñ chalte chalte
ghar meñ rah kar bhī ham ehsās-e-safar rakhte haiñ
āñdhiyāñ is ko gale aa ke lagā leñ shāyad
ik diyā aur sar-e-rāhguzar rakhte haiñ
bojh sar par liye phirnā nahīñ aatā ham ko
jo masā.il haiñ hamāre unheñ ghar rakhte haiñ
ek patjhaḌ sā lagā rahtā hai har dam dil meñ
ham jo siine meñ ye ehsās-e-shajar rakhte haiñ
niiñd jab ham ko satātī hai bahut maidāñ meñ
apnī khīñchī huī talvār pe sar rakhte haiñ
aa.e jo qatl ke darpe hai muqābil aa.e
ham bhī siine ko sadā apne sipar rakhte haiñ
bad-du’āoñ kā nahīñ hogā asar kuchh 'ābid'
ham buzurgoñ kī du'āoñ kā asar rakhte haiñ
tegh rakhte hain na hum tir-o-tabar rakhte hain
han yazidon se na jhuk pae wo sar rakhte hain
be-KHabar logon ko ehsas nahin hai is ka
jo KHabar wale hain har shai ki KHabar rakhte hain
phuTi kauDi ke nahin hain ye magas jaise log
sirf insan ke zaKHmon pe nazar rakhte hain
koi yaran-e-shari'at se ye ja kar puchhe
pahle dil rakhte hain sajde mein ki sar rakhte hain
hai koi hum mein jo thakta nahin chalte chalte
ghar mein rah kar bhi hum ehsas-e-safar rakhte hain
aandhiyan is ko gale aa ke laga len shayad
ek diya aur sar-e-rahguzar rakhte hain
bojh sar par liye phirna nahin aata hum ko
jo masail hain hamare unhen ghar rakhte hain
ek patjhaD sa laga rahta hai har dam dil mein
hum jo sine mein ye ehsas-e-shajar rakhte hain
nind jab hum ko satati hai bahut maidan mein
apni khinchi hui talwar pe sar rakhte hain
aae jo qatl ke darpe hai muqabil aae
hum bhi sine ko sada apne sipar rakhte hain
bad-du’aon ka nahin hoga asar kuchh 'abid'
hum buzurgon ki du'aon ka asar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.