tera yahi hai hukm to kam kar rahe hain dost
terā yahī hai hukm to kam kar rahe haiñ dost
jitnā magar zarūrī hai ġham kar rahe haiñ dost
hālāñki past hone kā ḳhatra bhī is meñ hai
dīvār-e-dil ko aur bhī nam kar rahe haiñ dost
ik roz jaate jaate tujhe sauñp jā.eñge
ye vārdāt-e-dil jo raqam kar rahe haiñ dost
jis raah se tū aayā udhar dekhte hue
āñkhoñ ko e'tibār baham kar rahe haiñ dost
kār-e-fuzūl hī sahī ye kārobār-e-'ishq
koī kare yā na kare ham kar rahe haiñ dost
tera yahi hai hukm to kam kar rahe hain dost
jitna magar zaruri hai gham kar rahe hain dost
haalanki past hone ka KHatra bhi is mein hai
diwar-e-dil ko aur bhi nam kar rahe hain dost
ek roz jate jate tujhe saunp jaenge
ye wardat-e-dil jo raqam kar rahe hain dost
jis rah se tu aaya udhar dekhte hue
aankhon ko e'tibar baham kar rahe hain dost
kar-e-fuzul hi sahi ye karobar-e-'ishq
koi kare ya na kare hum kar rahe hain dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.