tere bin ye dil kisi ka ab to mushtaqi nahin

tere bin ye dil kisi ka ab to mushtaqi nahin
Javed Qamar Liyaqati
MORE BYJaved Qamar Liyaqati
tere bin ye dil kisī kā ab to mushtāqī nahīñ
aisā lagtā hai tamanna ab koī baaqī nahīñ
āstīnoñ meñ chhupā.e phir rahe haiñ saañp sab
zahr ālūda fazā hai aaj tiryāqī nahīñ
aag kī hotī hai bārish āsmāñ se har ghaḌī
ab parinda koī bhī mahfūz āfāqī nahīñ
asl ye rūdād hai jis ko sunātā huuñ tumheñ
mustanad kirdār haiñ koī bhī ilhāqī nahīñ
aaj qazzāqoñ ke hai zer-e-asar har rāsta
kis taraf hotī batāo aaj qazzāqī nahīñ
maiñ sharīfoñ kī zabāñ meñ baat kartā huuñ miyāñ
kah diyā to merā lahja ġhair-aḳhlāqī nahīñ
kaise rindoñ kī bujhegī pyaas aise meñ 'qamar'
mai bhī hai miinā bhī sāġhar bhī hai bas saaqī nahīñ
tere bin ye dil kisi ka ab to mushtaqi nahin
aisa lagta hai tamanna ab koi baqi nahin
aastinon mein chhupae phir rahe hain sanp sab
zahr aaluda faza hai aaj tiryaqi nahin
aag ki hoti hai barish aasman se har ghaDi
ab parinda koi bhi mahfuz aafaqi nahin
asl ye rudad hai jis ko sunata hun tumhein
mustanad kirdar hain koi bhi ilhaqi nahin
aaj qazzaqon ke hai zer-e-asar har rasta
kis taraf hoti batao aaj qazzaqi nahin
main sharifon ki zaban mein baat karta hun miyan
kah diya to mera lahja ghair-aKHlaqi nahin
kaise rindon ki bujhegi pyas aise mein 'qamar'
mai bhi hai mina bhi saghar bhi hai bas saqi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.