aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere rahne ko munasib tha ki chhappar hota

Zareef Lakhnavi

tere rahne ko munasib tha ki chhappar hota

Zareef Lakhnavi

MORE BYZareef Lakhnavi

    tere rahne ko munāsib thā ki chhappar hotā

    ki na chaukhaT tirī hotī na mirā sar hotā

    qismat-e-najd gar qais commissioner hotā

    lady-lailā havā-ḳhorī ko motor hotā

    ġhair mil-jul ke uThā lete ki the be-ġhairat

    go pahāḌ aap ke ehsān chhappar hotā

    chaa.e meñ Daal kar ushshāq use jaate

    dar-haqīqat lab-e-ma.ashūq jo shakkar hotā

    malak-ul-maut pe jhalne ko banātā maiñ chañvar

    tā.er-e-rūh dam meñ jo koī par hotā

    le letā lab-e-dildār bosa uḌ kar

    kaash āshiq jo banāyā thā to machchhar hotā

    Thokareñ ġhair ke marqad pe lagātā kyuuñ kar

    boot pe jo pahne slēper hotā

    chāTtā saarī kitāboñ ko baġhair az-diqqat

    ilm shauq jise hai jo vo jheñgar hotā

    paas kartā resolution ki hasīnoñ pe ho tex

    maiñ kabhī municipality jo member hotā

    lucknow se shab-e-yak-shamba bareilly aate

    paañv meñ gar na 'zarīf' apne sanīchar hotā

    tere rahne ko munasib tha ki chhappar hota

    ki na chaukhaT teri hoti na mera sar hota

    qismat-e-najd ka gar qais commissioner hota

    lady-laila ki hawa-KHori ko motor hota

    ghair mil-jul ke uTha lete ki the be-ghairat

    go pahaD aap ke ehsan ka chhappar hota

    chae mein Dal kar ushshaq use pi jate

    dar-haqiqat lab-e-mashuq jo shakkar hota

    malak-ul-maut pe jhalne ko banata main chanwar

    taer-e-ruh ki dam mein jo koi par hota

    le hi leta lab-e-dildar ka bosa uD kar

    kash aashiq jo banaya tha to machchhar hota

    Thokaren ghair ke marqad pe lagata kyun kar

    boot ki ja pe jo tu pahne sleeper hota

    chaTta sari kitabon ko baghair az-diqqat

    ilm ka shauq jise hai jo wo jhengar hota

    pas karta resolution ki hasinon pe ho tex

    main kabhi municipality ka jo member hota

    lucknow se shab-e-yak-shamba bareilly aate

    panw mein gar na 'zarif' apne sanichar hota

    Source:

    Intikhabe Kalam Zareef (Pg. E-26 B-27)

      • Edition: 2004
      • Publisher: Mohammad Najmul Hasan
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now