tere tasawwuraat se aage nahin gaya
tere tasavvurāt se aage nahīñ gayā
ye dil tavahhumāt se aage nahīñ gayā
jo biich raah chhoḌ gayā shukr hai vo shaḳhs
merī tavaqqu'āt se aage nahīñ gayā
shāyad use pasand thiiñ jhūTī numā.isheñ
lekin maiñ dil kī baat se aage nahīñ gayā
jazbāt-e-dil ko vo bhī na kuchh Dhang de sakā
maiñ bhī takallufāt se aage nahīñ gayā
tohfa bhī us ke vāste kangan liyā 'zarīm'
vallah maiñ us ke haath se aage nahīñ gayā
tere tasawwuraat se aage nahin gaya
ye dil tawahhumat se aage nahin gaya
jo bich rah chhoD gaya shukr hai wo shaKHs
meri tawaqqu'at se aage nahin gaya
shayad use pasand thin jhuTi numaishen
lekin main dil ki baat se aage nahin gaya
jazbaat-e-dil ko wo bhi na kuchh Dhang de saka
main bhi takallufat se aage nahin gaya
tohfa bhi us ke waste kangan liya 'zarim'
wallah main us ke hath se aage nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.