Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri inayat ke bina ye nam mera kuchh nahin

Raghvendra Dwivedi

teri inayat ke bina ye nam mera kuchh nahin

Raghvendra Dwivedi

MORE BYRaghvendra Dwivedi

    terī ināyat ke binā ye naam merā kuchh nahīñ

    tujh se judā ho jā.ūñgā to daam merā kuchh nahīñ

    kālak se mujh ko aañkh kājal banāne ke liye

    jo bhī kiyā ne kiyā hai kaam merā kuchh nahīñ

    jis ne mujhe baḳhshā hunar vo daad haqdār hai

    ikrām e.ajāz in.aam merā kuchh nahīñ

    ye zindagī to har qadam letī hai merā imtihāñ

    lekin kabhī shikva koī ilzām merā kuchh nahīñ

    mujh se nahīñ us ḳhudā se maañg jo detā hai sab

    terī tarah maiñ bhī huuñ ik mehmān merā kuchh nahīñ

    teri inayat ke bina ye nam mera kuchh nahin

    tujh se juda ho jaunga to dam mera kuchh nahin

    kalak se mujh ko aankh ka kajal banane ke liye

    jo bhi kiya tu ne kiya hai kaam mera kuchh nahin

    jis ne mujhe baKHsha hunar wo dad ka haqdar hai

    ikram ya eajaz ya inam mera kuchh nahin

    ye zindagi to har qadam leti hai mera imtihan

    lekin kabhi shikwa koi ilzam mera kuchh nahin

    mujh se nahin tu us KHuda se mang jo deta hai sab

    teri tarah main bhi hun ek mehman mera kuchh nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now