Thik kahte hain sabhi ishq pareshani hai
Thiik kahte haiñ sabhī 'ishq pareshānī hai
haañ magar pahle mujhe kaun sī āsānī hai
ġhair-mumkin huī jaatī hai divāne kī shanāḳht
is qadar 'aam yahāñ chāk-garebānī hai
merī is baat kī tā.īd karegī duniyā
maiñ ne duniyā kī koī baat nahīñ maanī hai
vo añdherā hai maiñ ḳhud ko bhī nazar aatā nahīñ
tū mujhe dekh rahā hai mujhe hairānī hai
'ishq meñ hotā hai har kaam hī ulTā-sīdhā
āsmāñ maiñ ne bichhāyā hai zamīñ taanī hai
dhyān jaatā hai barābar usī manzar kī taraf
ye tasavvur usī tasvīr kā zindānī hai
raat bhar jāgtā rahtā huuñ maiñ 'ġhā.er' jaise
mere hī zimme sitāroñ kī nigahbānī hai
Thik kahte hain sabhi 'ishq pareshani hai
han magar pahle mujhe kaun si aasani hai
ghair-mumkin hui jati hai diwane ki shanaKHt
is qadar 'am yahan chaak-garebani hai
meri is baat ki taid karegi duniya
main ne duniya ki koi baat nahin mani hai
wo andhera hai main KHud ko bhi nazar aata nahin
tu mujhe dekh raha hai mujhe hairani hai
'ishq mein hota hai har kaam hi ulTa-sidha
aasman main ne bichhaya hai zamin tani hai
dhyan jata hai barabar usi manzar ki taraf
ye tasawwur usi taswir ka zindani hai
raat bhar jagta rahta hun main 'ghaer' jaise
mere hi zimme sitaron ki nigahbani hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 56)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.