tera KHayal agar juzw-e-zindagi na rahe
tirā ḳhayāl agar juzv-e-zindagī na rahe
jahāñ meñ mere liye koī dilkashī na rahe
maiñ aa gayā huuñ vahāñ tak tirī tamannā meñ
jahāñ se koī bhī imkān-e-vāpsī na rahe
tū Thiik kahtā hai ai dost Thiik kahtā hai
ki ham hī qābil-e-tajdīd-e-dostī na rahe
huzūr yaad hai maidān-e-hashr kā va.ada
kahīñ vahāñ bhī mirī aañkh DhūñDhtī na rahe
mirā to ḳhair azal hī se ġham muqaddar hai
tirī nigāh kī pahchān be-ruḳhī na rahe
tū is tarah se lipaT jā charāġh kī lau se
ki ba.ad-e-marg yahāñ terī raakh bhī na rahe
kisī ke hijr kā mausam azaab hai 'ġhaznī'
kabhī kabhī to maiñ kahtā huuñ zindagī na rahe
tera KHayal agar juzw-e-zindagi na rahe
jahan mein mere liye koi dilkashi na rahe
main aa gaya hun wahan tak teri tamanna mein
jahan se koi bhi imkan-e-wapsi na rahe
tu Thik kahta hai ai dost Thik kahta hai
ki hum hi qabil-e-tajdid-e-dosti na rahe
huzur yaad hai maidan-e-hashr ka wada
kahin wahan bhi meri aankh DhunDhti na rahe
mera to KHair azal hi se gham muqaddar hai
teri nigah ki pahchan be-ruKHi na rahe
tu is tarah se lipaT ja charagh ki lau se
ki baad-e-marg yahan teri rakh bhi na rahe
kisi ke hijr ka mausam azab hai 'ghazni'
kabhi kabhi to main kahta hun zindagi na rahe
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.