Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera majnun hun sahra ki qasam hai

Wali Mohammad Wali

tera majnun hun sahra ki qasam hai

Wali Mohammad Wali

MORE BYWali Mohammad Wali

    tirā majnūñ huuñ sahrā qasam hai

    talab meñ huuñ tamannā qasam hai

    sarāpā naaz hai ai parī-rū

    mujhe tere sarāpā qasam hai

    diyā haq husn-e-bālā-dast tujkūñ

    mujhe tujh sarv-e-bālā qasam hai

    kiyā tujh zulf ne jag kuuñ divānā

    tirī zulfāñ ke saudā qasam hai

    do-rañgī tark kar har ik se mat mil

    tujhe tujh qadd-e-rānā qasam hai

    kiyā tujh ishq ne aalam kuuñ majnūñ

    mujhe tujh rashk-e-lailā qasam hai

    'valī' mushtāq hai terī nigah

    mujhe tujh chashm-e-shahlā qasam hai

    tera majnun hun sahra ki qasam hai

    talab mein hun tamanna ki qasam hai

    sarapa naz hai tu ai pari-ru

    mujhe tere sarapa ki qasam hai

    diya haq husn-e-baala-dast tujkun

    mujhe tujh sarw-e-baala ki qasam hai

    kiya tujh zulf ne jag kun diwana

    teri zulfan ke sauda ki qasam hai

    do-rangi tark kar har ek se mat mil

    tujhe tujh qadd-e-rana ki qasam hai

    kiya tujh ishq ne aalam kun majnun

    mujhe tujh rashk-e-laila ki qasam hai

    'wali' mushtaq hai teri nigah ka

    mujhe tujh chashm-e-shahla ki qasam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now