Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere aashufta se kya haal-e-betabi bayan hoga

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

tere aashufta se kya haal-e-betabi bayan hoga

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    tire āshufta se kyā hāl-e-betābī bayāñ hogā

    jabīn-e-shauq hogī aur terā āstāñ hogā

    zabān-e-sham-e-mahfil se sunā hai ahl-e-mahfil ne

    tirā anjām kyā parvāna-e-ātish-ba-jāñ hogā

    talātum hai umīdoñ tasādum ārzūoñ

    dil-e-hañgāma-parvar kaun terā rāzdāñ hogā

    raheñ yūñhī agar rañgīniyāñ tarz-e-tabassum

    mire zaḳhm-e-jigar par ḳhanda-e-gul gumāñ hogā

    tajammul se guzar hogā tire kūche meñ āshiq

    tamannāoñ lashkar kārvāñ-dar-kārvāñ hogā

    kabhī taufīq tark-e-mā-sivā ho jā.egī

    dil-e-āzād hogā aur aish-e-jāvedāñ hogā

    surūr-afzā-o-mastī-ḳhez-o-shorish-āfrīñ hogī

    vo bazm-e-sher jis meñ 'vahshat'-e-shevā-bayāñ hogā

    tere aashufta se kya haal-e-betabi bayan hoga

    jabin-e-shauq hogi aur tera aastan hoga

    zaban-e-sham-e-mahfil se suna hai ahl-e-mahfil ne

    tera anjam kya parwana-e-atish-ba-jaan hoga

    talatum hai umidon ka tasadum aarzuon ka

    dil-e-hangama-parwar kaun tera raazdan hoga

    rahen yunhi agar ranginiyan tarz-e-tabassum ki

    mere zaKHm-e-jigar par KHanda-e-gul ka guman hoga

    tajammul se guzar hoga tere kuche mein aashiq ka

    tamannaon ka lashkar karwan-dar-karwan hoga

    kabhi taufiq tark-e-ma-siwa ki ho hi jaegi

    dil-e-azad hoga aur aish-e-jawedan hoga

    surur-afza-o-masti-KHez-o-shorish-afrin hogi

    wo bazm-e-sher jis mein 'wahshat'-e-shewa-bayan hoga

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 139)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now