Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere bichhaDne ka dukh apne KHandan ka dukh

Hina Ambareen

tere bichhaDne ka dukh apne KHandan ka dukh

Hina Ambareen

MORE BYHina Ambareen

    tire bichhaḌne dukh apne ḳhāndān dukh

    hamārī zaat ko hai saare kārvān dukh

    huzūr aap ko to 'ilm hai haqīqat

    huzūr aap to sunte the be-zabān dukh

    ḳhamosh baiTh ke ik dūsre ko sunte haiñ

    za'īf peḌ samajhtā hai naujavān dukh

    safar tavīl hai aur zād-e-rāh bhī kam hai

    lagā huā hai mujhe nam-zada makān dukh

    safar meñ hai magar paañv thak rahe haiñ mire

    thakā rahā hai mujhe yuuñ tirī thakān dukh

    kanīz-e-ḳhās banā ga.ī thī shahzādī

    use diyā bhī gayā to usī shaan dukh

    ġharīb ke liye to dukh dukh haiñ duniyā meñ

    kabhī makān dukh hai kabhī dukān dukh

    nahīñ hai kuchh bhī yahāñ is hisār se bāhar

    kahīñ ḳhamoshī ġham hai kahīñ bayān dukh

    tere bichhaDne ka dukh apne KHandan ka dukh

    hamari zat ko hai sare karwan ka dukh

    huzur aap ko to 'ilm hai haqiqat ka

    huzur aap to sunte the be-zaban ka dukh

    KHamosh baiTh ke ek dusre ko sunte hain

    za'if peD samajhta hai naujawan ka dukh

    safar tawil hai aur zad-e-rah bhi kam hai

    laga hua hai mujhe nam-zada makan ka dukh

    safar mein tu hai magar panw thak rahe hain mere

    thaka raha hai mujhe yun teri thakan ka dukh

    kaniz-e-KHas bana di gai thi shahzadi

    use diya bhi gaya to usi ki shan ka dukh

    gharib ke liye to dukh hi dukh hain duniya mein

    kabhi makan ka dukh hai kabhi dukan ka dukh

    nahin hai kuchh bhi yahan is hisar se bahar

    kahin KHamoshi ka gham hai kahin bayan ka dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now