tere guman ko makan kar ke main so raha tha
tire gumāñ ko makān kar ke maiñ so rahā thā
yuuñ dhuup meñ sā.ebān kar ke maiñ so rahā thā
maiñ jāgritī kī 'ajab 'ajab manziloñ se guzrā
ki raat jab terā dhyān kar ke maiñ so rahā thā
zamīn aur āsmāñ ke jhagḌoñ meñ kaun paḌtā
so ḳhud ko ik darmiyān kar ke maiñ so rahā thā
tirī sadāoñ pe thā mukammal yaqīn mujh ko
havāoñ ko bādbān kar ke maiñ so rahā thā
ḳhushī kī jin manziloñ se ab maiñ guzar rahā huuñ
ye tai hai dukh kā nidān kar ke maiñ so rahā thā
niyāz-mandī se jāgritī ko huā maiñ hāsil
ḳhushī-ḳhushī jī kā daan kar ke maiñ so rahā thā
tere guman ko makan kar ke main so raha tha
yun dhup mein saeban kar ke main so raha tha
main jagriti ki 'ajab 'ajab manzilon se guzra
ki raat jab tera dhyan kar ke main so raha tha
zamin aur aasman ke jhagDon mein kaun paDta
so KHud ko ek darmiyan kar ke main so raha tha
teri sadaon pe tha mukammal yaqin mujh ko
hawaon ko baadban kar ke main so raha tha
KHushi ki jin manzilon se ab main guzar raha hun
ye tai hai dukh ka nidan kar ke main so raha tha
niyaz-mandi se jagriti ko hua main hasil
KHushi-KHushi ji ka dan kar ke main so raha tha
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 93)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.