tere jamal ka maine fusun bhi dekha hai
tire jamāl kā maiñ ne fusūñ bhī dekhā hai
baḌe hī zabt se apnā junūñ bhī dekhā hai
gulāb hai mirī nazroñ meñ zindagī varna
zamīñ pe bahtā huā maiñ ne ḳhuuñ bhī dekhā hai
jabīñ pe jis ke na dekhī thī koī bhī uljhan
usī ke haal ko aksar zubūñ bhī dekhā hai
ḳhudā kā shukr ki is ghar meñ mo'jiza bhī huā
fasurda chehroñ pe maiñ ne sukūñ bhī dekhā hai
kisī ke hijr meñ mar mar ke zindagī karnā
so ek rāsta jiine kā yuuñ bhī dekhā hai
tere jamal ka main ne fusun bhi dekha hai
baDe hi zabt se apna junun bhi dekha hai
gulab hai meri nazron mein zindagi warna
zamin pe bahta hua main ne KHun bhi dekha hai
jabin pe jis ke na dekhi thi koi bhi uljhan
usi ke haal ko aksar zubun bhi dekha hai
KHuda ka shukr ki is ghar mein mo'jiza bhi hua
fasurda chehron pe main ne sukun bhi dekha hai
kisi ke hijr mein mar mar ke zindagi karna
so ek rasta jine ka yun bhi dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.