tere KHayal mein had se guzar gaya koi
tire ḳhayāl meñ had se guzar gayā koī
ġham-e-hayāt ko hairān kar gayā koī
havā.eñ jin ke ishāroñ pe raqs kartī haiñ
charāġh vo mire raste pe dhar gayā koī
mujhe pata bhī nahīñ chal sakā magar mujh meñ
tamām rang mohabbat ke bhar gayā koī
maiñ she'r kahtā rahā jis kī yaad meñ ab tak
kal us ke jaisā ġhazal meñ utar gayā koī
laboñ tak aayā huā qahqaha na rok sakā
phir us kī guuñj sunī aur Dar gayā koī
maiñ ḳhvāb buntā rahā zindagī ke aur kahīñ
fareb-e-zīst se ghabrā ke mar gayā koī
maiñ sochtā huuñ ki us kā likhā dikhā.ūñ use
kahe sune se to yaksar mukar gayā koī
bas ik zarā sī tavajjoh kī baat thī 'anvar'
nazar nazar se milī aur sañvar gayā koī
tere KHayal mein had se guzar gaya koi
gham-e-hayat ko hairan kar gaya koi
hawaen jin ke ishaaron pe raqs karti hain
charagh wo mere raste pe dhar gaya koi
mujhe pata bhi nahin chal saka magar mujh mein
tamam rang mohabbat ke bhar gaya koi
main she'r kahta raha jis ki yaad mein ab tak
kal us ke jaisa ghazal mein utar gaya koi
labon tak aaya hua qahqaha na rok saka
phir us ki gunj suni aur Dar gaya koi
main KHwab bunta raha zindagi ke aur kahin
fareb-e-zist se ghabra ke mar gaya koi
main sochta hun ki us ka likha dikhaun use
kahe sune se to yaksar mukar gaya koi
bas ek zara si tawajjoh ki baat thi 'anwar'
nazar nazar se mili aur sanwar gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.