Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere qarib rahun ya ki main safar mein rahun

Zafar Ansari Zafar

tere qarib rahun ya ki main safar mein rahun

Zafar Ansari Zafar

MORE BYZafar Ansari Zafar

    tire qarīb rahūñ ki maiñ safar meñ rahūñ

    ye aarzū hai tire halqa-e-asar meñ rahūñ

    shafaq shafaq mujhe dekhe nigāh-e-husn-e-shu.ūr

    naqīb-e-mehr banūñ naġhma-e-sahar meñ rahūñ

    yaqīñ chhāñv meñ tujh ko jo niiñd aa jaa.e

    maiñ tere ḳhvāb sūrat tirī nazar meñ rahūñ

    jamāl-e-shāhid-e-ma.anī pe jab nikhār aa.e

    ḳhayāl-e-husn banūñ aur sher-e-tar meñ rahūñ

    ye chāhtā huuñ ki maiḳhāne tak rasā.ī ho

    agar sifāl banūñ dast-e-kūza-gar meñ rahūñ

    kabhī phirūñ maiñ bayābān-e-dil meñ sargardāñ

    kabhī nigār-e-kam-āmez nazar meñ rahūñ

    banā.eñ ahl-e-nazar surma-e-nazar mujh ko

    ġhubār ban ke agar terī rahguzar meñ rahūñ

    tirā jamāl-e-dil-ārā rahe tasavvur meñ

    guloñ bazm ki maiñ chāñd ke nagar meñ rahūñ

    duā-e-nīm-shabī vo kare mirī ḳhātir

    kuchh aisā ban ke dil-e-husn-e-ishva-gar meñ rahūñ

    mire nasīb meñ ho tere naam surḳhī

    ki jis tujh se ta.alluq ho us ḳhabar meñ rahūñ

    kisī bazm meñ jaane se fā.eda kyā hai

    mire liye yahī behtar hai apne ghar meñ rahūñ

    banūñ maiñ tere liye vajah-e-lutf-e-lāfānī

    ziyā-e-ishq sūrat dil-o-jigar meñ rahūñ

    tirī samt hamesha ho merā qibla-e-dil

    hamesha mahv tire husn-e-mo'atabar meñ rahūñ

    'zafar' ye mere liye to azāb-e-jāñ hogā

    ḳhudā na-karda ki maiñ shahr-e-be-hunar meñ rahūñ

    tere qarib rahun ya ki main safar mein rahun

    ye aarzu hai tere halqa-e-asar mein rahun

    shafaq shafaq mujhe dekhe nigah-e-husn-e-shuur

    naqib-e-mehr banun naghma-e-sahar mein rahun

    yaqin ki chhanw mein tujh ko jo nind aa jae

    main tere KHwab ki surat teri nazar mein rahun

    jamal-e-shahid-e-mani pe jab nikhaar aae

    KHayal-e-husn banun aur sher-e-tar mein rahun

    ye chahta hun ki maiKHane tak rasai ho

    agar sifal banun dast-e-kuza-gar mein rahun

    kabhi phirun main bayaban-e-dil mein sargardan

    kabhi nigar-e-kam-amez ki nazar mein rahun

    banaen ahl-e-nazar surma-e-nazar mujh ko

    ghubar ban ke agar teri rahguzar mein rahun

    tera jamal-e-dil-ara rahe tasawwur mein

    gulon ki bazm ki main chand ke nagar mein rahun

    dua-e-nim-shabi wo kare meri KHatir

    kuchh aisa ban ke dil-e-husn-e-ishwa-gar mein rahun

    mere nasib mein ho tere nam ki surKHi

    ki jis ka tujh se talluq ho us KHabar mein rahun

    kisi ki bazm mein jaane se faeda kya hai

    mere liye yahi behtar hai apne ghar mein rahun

    banun main tere liye wajah-e-lutf-e-lafani

    ziya-e-ishq ki surat dil-o-jigar mein rahun

    teri hi samt hamesha ho mera qibla-e-dil

    hamesha mahw tere husn-e-mo'atabar mein rahun

    'zafar' ye mere liye to azab-e-jaan hoga

    KHuda na-karda ki main shahr-e-be-hunar mein rahun

    Source:

    Sharar-e-sang (Pg. 73)

    • Author: Zafar Ansari Zafar
      • Edition: 2015
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now