tere suKHan ke mah-o-KHur teri nazar ke charagh
tire suḳhan ke mah-o-ḳhur tirī nazar ke charāġh
unhīñ ke dam se haiñ raushan mire hunar ke charāġh
zamīñ se tā-ba-falak kahkashāñ sī bikhrī huī
haqīqatan haiñ farozāñ kisī safar ke charāġh
ba-har zamāna unheñ āñdhiyoñ se laḌnā hai
tumhāre ghar ke diye hoñ ki mere ghar ke charāġh
vahāñ pe bhī isī tahzīb kā ujālā hai
jale udhar kī muñDeroñ pe bhī idhar ke charāġh
ab un ke saath havā dekheñ kyā sulūk kare
jalā to aa.e haiñ ham fikr-e-mo'atabar ke charāġh
bachā.e rakkheñ zarā aap apne dāman ko
na deñ inheñ kahīñ lau merī chashm-e-tar ke charāġh
kabhī jo āḳhir-e-shab āñkheñ nam huiiñ apnī
du'ā ke hoñToñ pe raushan hue asar ke charāġh
varaq varaq haiñ munavvar jo she'r kī sūrat
ḳhudā kare na kabhī gul hoñ ye 'qamar' ke charāġh
tere suKHan ke mah-o-KHur teri nazar ke charagh
unhin ke dam se hain raushan mere hunar ke charagh
zamin se ta-ba-falak kahkashan si bikhri hui
haqiqatan hain farozan kisi safar ke charagh
ba-har zamana unhen aandhiyon se laDna hai
tumhaare ghar ke diye hon ki mere ghar ke charagh
wahan pe bhi isi tahzib ka ujala hai
jale udhar ki munDeron pe bhi idhar ke charagh
ab un ke sath hawa dekhen kya suluk kare
jala to aae hain hum fikr-e-mo'atabar ke charagh
bachae rakkhen zara aap apne daman ko
na den inhen kahin lau meri chashm-e-tar ke charagh
kabhi jo aaKHir-e-shab aankhen nam huin apni
du'a ke honTon pe raushan hue asar ke charagh
waraq waraq hain munawwar jo she'r ki surat
KHuda kare na kabhi gul hon ye 'qamar' ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.