Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri chashm-e-tarab ko dekhna paDta hai pur-nam bhi

Zaheer Kashmiri

teri chashm-e-tarab ko dekhna paDta hai pur-nam bhi

Zaheer Kashmiri

MORE BYZaheer Kashmiri

    tirī chashm-e-tarab ko dekhnā paḌtā hai pur-nam bhī

    mohabbat ḳhanda-e-be-bāk bhī hai girya-e-ġham bhī

    thakan tere badan uzr koī DhūñDh letī

    hadīs-e-mahfil-e-shab kah rahī hai zulf barham bhī

    ba-qadr-e-dil yahāñ se shola-e-jāñ-sāz miltā hai

    charāġh-e-husn lau shoḳh bhī hai aur maddham bhī

    mirī tanhā.iyoñ dil-kashī terī balā jaane

    merī tanhā.iyoñ se pyaar kartā hai tirā ġham bhī

    bahāroñ ke ġhazal-ḳhvāñ aaj ye mahsūs karte haiñ

    pas-e-dīvār-e-gul rotī rahī hai chashm-e-shabnam bhī

    qarīb aate magar kuchh fāsla bhī darmiyāñ rahtā

    kamī ye rah ga.ī hai bāvajūd-e-rabt-e-bāham bhī

    'zahīr' un ko hamāre dil har shoḳhī gavārā thī

    unheñ karnā paḌegā ab hamāre dil mātam bhī

    teri chashm-e-tarab ko dekhna paDta hai pur-nam bhi

    mohabbat KHanda-e-be-bak bhi hai girya-e-gham bhi

    thakan tere badan ki uzr koi DhunDh hi leti

    hadis-e-mahfil-e-shab kah rahi hai zulf barham bhi

    ba-qadr-e-dil yahan se shola-e-jaan-saz milta hai

    charagh-e-husn ki lau shoKH bhi hai aur maddham bhi

    meri tanhaiyon ki dil-kashi teri bala jaane

    meri tanhaiyon se pyar karta hai tera gham bhi

    bahaaron ke ghazal-KHwan aaj ye mahsus karte hain

    pas-e-diwar-e-gul roti rahi hai chashm-e-shabnam bhi

    qarib aate magar kuchh fasla bhi darmiyan rahta

    kami ye rah gai hai bawajud-e-rabt-e-baham bhi

    'zahir' un ko hamare dil ki har shoKHi gawara thi

    unhen karna paDega ab hamare dil ka matam bhi

    Source:

    kulliyat-e-zahiir (Pg. 24)

    • Author: Zaheer kaashmeeri
      • Edition: 1994
      • Publisher: al hamad publication
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now