teri lakh hum pe jafa rahi tere lakh hum pe sitam rahe
tirī laakh ham pe jafā rahī tire laakh ham pe sitam rahe
ye hamāre zarf kī baat hai ki amīn-e-'azmat-e-ġham rahe
na ye but-kade kī rahīn ho na ye sajda-rez-e-haram rahe
ye mire jabīñ kī hai aarzū tire pā-e-nāz pe ḳham rahe
ye mirī nigāh ne kyā kiyā tire ruḳh se parda haTā diyā
na sanam-kadoñ meñ sanam rahe na haram meñ ahl-e-haram rahe
na vo rang-e-ruḳh se jhalak sake na vo chashm-e-tar se chhalak sake
jo tire nigāh ne ġham diye mire zarf-e-zabt se kam rahe
ye tumhīñ batāo ki peshtar kabhī tum se koī gila kiyā
kabhī shikva-sanj-e-jafā hue kabhī shikva-sanj-e-sitam rahe
kahāñ din vo 'ahd-e-shabāb ke vo junūn sar se utar gayā
vo mizāj-e-'ishq badal gayā na vo dil rahā na vo ham rahe
mujhe jis ne luuT liyā 'ziyā' koī rāhzan to na thā magar
jo maiñ ye batā duuñ vo kaun thā to kahāñ kisī kā bharam rahe
teri lakh hum pe jafa rahi tere lakh hum pe sitam rahe
ye hamare zarf ki baat hai ki amin-e-'azmat-e-gham rahe
na ye but-kade ki rahin ho na ye sajda-rez-e-haram rahe
ye mere jabin ki hai aarzu tere pa-e-naz pe KHam rahe
ye meri nigah ne kya kiya tere ruKH se parda haTa diya
na sanam-kadon mein sanam rahe na haram mein ahl-e-haram rahe
na wo rang-e-ruKH se jhalak sake na wo chashm-e-tar se chhalak sake
jo tere nigah ne gham diye mere zarf-e-zabt se kam rahe
ye tumhin batao ki peshtar kabhi tum se koi gila kiya
kabhi shikwa-sanj-e-jafa hue kabhi shikwa-sanj-e-sitam rahe
kahan din wo 'ahd-e-shabab ke wo junun sar se utar gaya
wo mizaj-e-'ishq badal gaya na wo dil raha na wo hum rahe
mujhe jis ne luT liya 'ziya' koi rahzan to na tha magar
jo main ye bata dun wo kaun tha to kahan kisi ka bharam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.