Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri nigah ka ye inqalab dekha hai

Zaheerunnisa Nigar

teri nigah ka ye inqalab dekha hai

Zaheerunnisa Nigar

MORE BYZaheerunnisa Nigar

    tirī nigāh ye inqalāb dekhā hai

    dil-o-nazar meñ ajab iztirāb dekhā hai

    kabhī to ishq meñ ye inqalāb dekhā hai

    ki apne aap ko be-hijāb dekhā hai

    zamīn-e-shahr-e-vafā kyoñ na ho falak javāb

    har ek zarra yahāñ āftāb dekhā hai

    jo be-misāl hai duniyā meñ ishq-e-parvāna

    to husn-e-sham.a ko bhī lā-javāb dekhā hai

    diyā hai jis ne ḳhud apne lahū nazrāna

    rah-e-vafā meñ use kāmyāb dekhā hai

    har ek daur meñ ahl-e-sitam zalīl hue

    jise bhī dekhā to ḳhāna-ḳharāb dekhā hai

    nigāh-e-nāz ke andāz jānte haiñ ham

    hamīñ ne raqs meñ jām-e-sharāb dekhā hai

    tasavvurāt meñ rakhte haiñ ik hasīñ chehra

    kisī ne ham bhī ahl-e-kitāb dekhā hai

    ye rahnumā nahīñ rahzan haiñ daur-e-hāzir ke

    kahīñ bhī tum ne inheñ kāmyāb dekhā hai

    teri nigah ka ye inqalab dekha hai

    dil-o-nazar mein ajab iztirab dekha hai

    kabhi to ishq mein ye inqalab dekha hai

    ki apne aap ko hi be-hijab dekha hai

    zamin-e-shahr-e-wafa kyon na ho falak ka jawab

    har ek zarra yahan aaftab dekha hai

    jo be-misal hai duniya mein ishq-e-parwana

    to husn-e-shama ko bhi la-jawab dekha hai

    diya hai jis ne KHud apne lahu ka nazrana

    rah-e-wafa mein use kaamyab dekha hai

    har ek daur mein ahl-e-sitam zalil hue

    jise bhi dekha to KHana-KHarab dekha hai

    nigah-e-naz ke andaz jaante hain hum

    hamin ne raqs mein jam-e-sharab dekha hai

    tasawwuraat mein rakhte hain ek hasin chehra

    kisi ne hum sa bhi ahl-e-kitab dekha hai

    ye rahnuma nahin rahzan hain daur-e-hazir ke

    kahin bhi tum ne inhen kaamyab dekha hai

    Source:

    Qafila-e-Bahaar (Pg. 225)

    • Author: Zaheerunnisa Nigar
      • Publisher: Taufeeq Farooqi
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now