teri raushni mein nahane lage hain
tirī raushnī meñ nahāne lage haiñ
mire lafz ab jagmagāne lage haiñ
mire ratjagoñ se pareshān ho kar
sitāre kahānī sunāne lage haiñ
ḳhayāloñ kī parvāz baḌhne lagī hai
ḳhalāoñ se paiġhām aane lage haiñ
qamar ne ḳhudā jaane kyā kah diyā hai
samundar ke lab thartharāne lage haiñ
tirā dard ab jāvedāñ ho chalā hai
ki din raat ham muskurāne lage haiñ
safar ḳhaak meñ milne vaalā hai shāyad
musāfir bagūle uḌāne lage haiñ
tamāshe kī ab intihā ho rahī hai
tamāshā.ī uTh uTh ke jaane lage haiñ
teri raushni mein nahane lage hain
mere lafz ab jagmagane lage hain
mere ratjagon se pareshan ho kar
sitare kahani sunane lage hain
KHayalon ki parwaz baDhne lagi hai
KHalaon se paigham aane lage hain
qamar ne KHuda jaane kya kah diya hai
samundar ke lab thartharane lage hain
tera dard ab jawedan ho chala hai
ki din raat hum muskurane lage hain
safar KHak mein milne wala hai shayad
musafir bagule uDane lage hain
tamashe ki ab intiha ho rahi hai
tamashai uTh uTh ke jaane lage hain
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 27)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.