teri shabih ki pahchan tak nahin pahuncha
tirī shabīh kī pahchān tak nahīñ pahuñchā
mirā gumāñ mire 'irfān tak nahīñ pahuñchā
kisī ḳhayāl ne mumkin kī had nahīñ dekhī
koī nihāyat-e-imkān tak nahīñ pahuñchā
tujhe maiñ husn-e-ta’alluq kī daad kaise duuñ
tirā sulūk to ehsān tak nahīñ pahuñchā
abhī ye lams mukammal nahīñ huā mirī jaan
abhī ye ḳhuun ke daurān tak nahīñ pahuñchā
darīda-pairahanī kā sabab to ham ḳhud haiñ
'adū kā haath garebān tak nahīñ pahuñchā
abhī bahār meñ vāraftagī nahīñ 'āsim'
gul-e-nihāl gulistān tak nahīñ pahuñchā
teri shabih ki pahchan tak nahin pahuncha
mera guman mere 'irfan tak nahin pahuncha
kisi KHayal ne mumkin ki had nahin dekhi
koi nihayat-e-imkan tak nahin pahuncha
tujhe main husn-e-ta’alluq ki dad kaise dun
tera suluk to ehsan tak nahin pahuncha
abhi ye lams mukammal nahin hua meri jaan
abhi ye KHun ke dauran tak nahin pahuncha
darida-pairahani ka sabab to hum KHud hain
'adu ka hath gareban tak nahin pahuncha
abhi bahaar mein waraftagi nahin 'asim'
gul-e-nihaal gulistan tak nahin pahuncha
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 115)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.