tishnagi jism ki miTTi mein gaDi milti hai
tishnagī jism kī miTTī meñ gaḌī miltī hai
aisā lagtā hai ki pyāsoñ se laḌī miltī hai
āñkheñ tārīk nasīb un se ziyāda tārīk
ham agar haath bhī māñgeñ to chhaḌī miltī hai
is binā par maiñ samajhtā huuñ ki ye juḌvāñ haiñ
'ishq kī shakl aziyyat se baḌī miltī hai
ahl-e-ḳhāna mujhe ab vaqt nahīñ de paate
vaise har saal janam-din pe ghaḌī miltī hai
zindagī ḳhasta-o-pāmāl milī thī mujh ko
jaise raste pe koī chiiz paḌī miltī hai
saañs chaḌh jaatī hai āġhāz-e-safar meñ apnī
mere jaisoñ ko kahāñ rail khaḌī miltī hai
abr dekhūñ to baras paḌtī haiñ āñkheñ 'najmī'
thal kā baasī huuñ muqaddar se jhaḌī miltī hai
tishnagi jism ki miTTi mein gaDi milti hai
aisa lagta hai ki pyason se laDi milti hai
aankhen tarik nasib un se ziyaada tarik
hum agar hath bhi mangen to chhaDi milti hai
is bina par main samajhta hun ki ye juDwan hain
'ishq ki shakl aziyyat se baDi milti hai
ahl-e-KHana mujhe ab waqt nahin de pate
waise har sal janam-din pe ghaDi milti hai
zindagi KHasta-o-pamal mili thi mujh ko
jaise raste pe koi chiz paDi milti hai
sans chaDh jati hai aaghaz-e-safar mein apni
mere jaison ko kahan rail khaDi milti hai
abr dekhun to baras paDti hain aankhen 'najmi'
thal ka basi hun muqaddar se jhaDi milti hai
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 35)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.