to kya wo lamha-e-tar umr bhar na aaega
to kyā vo lamha-e-tar 'umr bhar na aa.egā
dar-e-nigāh koī lauT kar na aa.egā
yūñhī ḳhamoshī se karte hue ham 'ishq us se
samajh rahe the ki ilzām sar na aa.egā
na siikh pā.eñge jiinā kabhī baġhair us ke
hameñ ye 'ilm-o-hunar 'umr bhar na aa.egā
use umiid se ab dekhtā nahīñ koī
ab us daraḳht meñ koī samar na aa.egā
ye log sirf tamāshā.ī rah ga.e haiñ inheñ
hamārī aañkh kā aañsū nazar na aa.egā
huā ik 'arsa hameñ dekhe ab dar-o-dīvār
hamārī raah meñ kyā koī ghar na aa.egā
mujhe ye ġham nahīñ dīvār uTh ga.ī lekin
ab āftāb mire baam par na aa.egā
maiñ ahl-e-ḳhāna-e-sayyād mujh se kyā yaarī
tum us parinde se kahnā idhar na aa.egā
to kya wo lamha-e-tar 'umr bhar na aaega
dar-e-nigah koi lauT kar na aaega
yunhi KHamoshi se karte hue hum 'ishq us se
samajh rahe the ki ilzam sar na aaega
na sikh paenge jina kabhi baghair us ke
hamein ye 'ilm-o-hunar 'umr bhar na aaega
use umid se ab dekhta nahin koi
ab us daraKHt mein koi samar na aaega
ye log sirf tamashai rah gae hain inhen
hamari aankh ka aansu nazar na aaega
hua ek 'arsa hamein dekhe ab dar-o-diwar
hamari rah mein kya koi ghar na aaega
mujhe ye gham nahin diwar uTh gai lekin
ab aaftab mere baam par na aaega
main ahl-e-KHana-e-sayyaad mujh se kya yari
tum us parinde se kahna idhar na aaega
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 67)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.