toD le shayad mohr-e-KHamoshi dil ki girhen khole Tuk
toḌ le shāyad mohr-e-ḳhamoshī dil kī girheñ khole Tuk
baiThe haiñ chup aas lagā.e kaash vo ham se bole Tuk
baḌhne lage phir shaam ke saa.e jalne lage yādoñ ke diye
dard-e-mohabbat mujh se lipaT kar tū bhī taḌap le ro le Tuk
duniyā duniyā hirs-o-havā hai aañsū kā kuchh mol nahīñ
dariyā dariyā rone vaale dāman dil kā dho le Tuk
maiñ bhī samjhūñ merā bhī hai apnā koī duniyā meñ
jīvan kī sunsān Dagar meñ saath mire tū ho le Tuk
dekhūñ un kī zulf kā saaya kaash kabhū aisā bhī ho
shaam Dhale jab raat kī raanī apnā juuḌā khole Tuk
zahr bharī duniyā se yaaro chalnā hai to us paas chalo
shāyad hoñToñ kī ik jumbish ras kānoñ meñ ghole Tuk
jiine ko bas ek tabassum ek nazar bhī kaafī hai
aur kahīñ do bol mohabbat ke vo ham se bole Tuk
jām-o-subū kī aag meñ kitne phuul khile haiñ yādoñ ke
pyaar kī is albelī rut meñ bain ke taar sañjo le Tuk
raat ke mub.ham sannāTe meñ yādoñ kī parchhā.īñ meñ
ro de hai rut shabnam shabnam pyāse nain bhigo le Tuk
ġham kī aañch se jab dil pighlā jaam banā maiḳhāne kā
baa'd ko jaam uThānā pahle ruuh meñ dard samo le Tuk
kaise kaise jaib-o-garebāñ chaak hue haiñ saarī raat
sub.h-e-bahārāñ ne tab jā kar ghūñghaT ke paT khole Tuk
she'r-o-suḳhan ke shah-pāroñ meñ rang abhī kuchh bharnā hai
ai fankār tū apnī palkeñ ḳhūn-e-dil meñ Dubo le Tuk
kitnī rāteñ āñkhoñ hī āñkhoñ meñ kaaTī haiñ 'jāved'
shāyad vo sapne meñ aaveñ muuñd le āñkheñ so le Tuk
toD le shayad mohr-e-KHamoshi dil ki girhen khole Tuk
baiThe hain chup aas lagae kash wo hum se bole Tuk
baDhne lage phir sham ke sae jalne lage yaadon ke diye
dard-e-mohabbat mujh se lipaT kar tu bhi taDap le ro le Tuk
duniya duniya hirs-o-hawa hai aansu ka kuchh mol nahin
dariya dariya rone wale daman dil ka dho le Tuk
main bhi samjhun mera bhi hai apna koi duniya mein
jiwan ki sunsan Dagar mein sath mere tu ho le Tuk
dekhun un ki zulf ka saya kash kabhu aisa bhi ho
sham Dhale jab raat ki rani apna juDa khole Tuk
zahr bhari duniya se yaro chalna hai to us pas chalo
shayad honTon ki ek jumbish ras kanon mein ghole Tuk
jine ko bas ek tabassum ek nazar bhi kafi hai
aur kahin do bol mohabbat ke wo hum se bole Tuk
jam-o-subu ki aag mein kitne phul khile hain yaadon ke
pyar ki is albeli rut mein bain ke tar sanjo le Tuk
raat ke mubham sannaTe mein yaadon ki parchhain mein
ro de hai rut shabnam shabnam pyase nain bhigo le Tuk
gham ki aanch se jab dil pighla jam bana maiKHane ka
ba'd ko jam uThana pahle ruh mein dard samo le Tuk
kaise kaise jaib-o-gareban chaak hue hain sari raat
subh-e-bahaaran ne tab ja kar ghunghaT ke paT khole Tuk
she'r-o-suKHan ke shah-paron mein rang abhi kuchh bharna hai
ai fankar tu apni palken KHun-e-dil mein Dubo le Tuk
kitni raaten aankhon hi aankhon mein kaTi hain 'jawed'
shayad wo sapne mein aawen mund le aankhen so le Tuk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.