toDe na ye jahan tumhein ilzam bandh kar
toḌe na ye jahāñ tumheñ ilzām bāñdh kar
rakhnā yaqīñ kī Dor meñ auhām bāñdh kar
ye dil ġhulām aap kī tahvīl meñ diyā
rakh lījiye ye banda-e-be-dām bāñdh kar
kaise na chashm-e-nāz ko ham mai-kada kaheñ
rakkhe palak palak se haiñ jab jaam bāñdh kar
khultā huā vo rang-e-sahar ruḳh pe aur idhar
rakkhī hai zulf meñ jo hasīñ shaam bāñdh kar
vo chāñd kab tulū' ho is intizār ne
mujh ko biThā diyā hai sar-e-bām bāñdh kar
ġharqāb kar na de kahīñ kaalī ghaTā suno
rakkho zarā ye zulf-e-siyah-fām bāñdh kar
hote idhar udhar to kidhar hotī kā.enāt
kis ne falak pe rakkhe haiñ ajrām bāñdh kar
jaa.ez kahāñ hai tark-e-ta'alluq kā faisla
dil dil se apne naam se ye naam bāñdh kar
rakkhā madār-e-vaqt pe kyoñ us ne raqs meñ
paaoñ se mere gardish-e-ayyām bāñdh kar
qibla hai 'ishq kā yahāñ be-faiz hai anā
kiije tavāf 'ijz kā ehrām bāñdh kar
samjhī ho sā.ebāñ jise 'nasrīn' dekhnā
māregā dhuup meñ vo sar-e-'ām bāñdh kar
toDe na ye jahan tumhein ilzam bandh kar
rakhna yaqin ki Dor mein auham bandh kar
ye dil ghulam aap ki tahwil mein diya
rakh lijiye ye banda-e-be-dam bandh kar
kaise na chashm-e-naz ko hum mai-kada kahen
rakkhe palak palak se hain jab jam bandh kar
khulta hua wo rang-e-sahar ruKH pe aur idhar
rakkhi hai zulf mein jo hasin sham bandh kar
wo chand kab tulu' ho is intizar ne
mujh ko biTha diya hai sar-e-baam bandh kar
gharqab kar na de kahin kali ghaTa suno
rakkho zara ye zulf-e-siyah-fam bandh kar
hote idhar udhar to kidhar hoti kaenat
kis ne falak pe rakkhe hain ajram bandh kar
jaez kahan hai tark-e-ta'alluq ka faisla
dil dil se apne nam se ye nam bandh kar
rakkha madar-e-waqt pe kyon us ne raqs mein
paon se mere gardish-e-ayyam bandh kar
qibla hai 'ishq ka yahan be-faiz hai ana
kije tawaf 'ijz ka ehram bandh kar
samjhi ho saeban jise 'nasrin' dekhna
marega dhup mein wo sar-e-'am bandh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.