Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tohfa ye mohabbat ki nazar chhoD gai hai

Kamal Lakhnavi

tohfa ye mohabbat ki nazar chhoD gai hai

Kamal Lakhnavi

MORE BYKamal Lakhnavi

    tohfa ye mohabbat nazar chhoḌ ga.ī hai

    kuchh kuchh ḳhalish-e-dard-e-jigar chhoḌ ga.ī hai

    paimāne meñ saaqī nazar mai jagah par

    piine ke liye ḳhūn-e-jigar chhoḌ ga.ī hai

    jis raah se ḳhud gardish-e-daurāñ bhī na guzrī

    vo mere liye rāhguzar chhoḌ ga.ī hai

    tanzīm-e-charāġhāñ ke liye DhūñDh ke mujh ko

    ghanghor añdheroñ meñ sahar chhoḌ ga.ī hai

    murjhā na sakā jo kabhī garmī-e-ḳhizāñ se

    us phuul ko gulchīñ nazar chhoḌ ga.ī hai

    kyā soch ke mashshāta-e-zau rū-e-ufuq par

    uljhe hue gesū-e-sahar chhoḌ ga.ī hai

    ai maslahat-e-vaqt ye kyoñ ātish-e-hālāt

    bastī meñ akelā mirā ghar chhoḌ ga.ī hai

    maiñ qatl huā huuñ to mire ḳhuun har buuñd

    tārīḳh ke dāman par asar chhoḌ ga.ī hai

    paḌte 'kamāl' us nazar mujh pe ba-sad-nāz

    ilzām-e-mohabbat mire sar chhoḌ ga.ī hai

    tohfa ye mohabbat ki nazar chhoD gai hai

    kuchh kuchh KHalish-e-dard-e-jigar chhoD gai hai

    paimane mein saqi ki nazar mai ki jagah par

    pine ke liye KHun-e-jigar chhoD gai hai

    jis rah se KHud gardish-e-dauran bhi na guzri

    wo mere liye rahguzar chhoD gai hai

    tanzim-e-charaghan ke liye DhunDh ke mujh ko

    ghanghor andheron mein sahar chhoD gai hai

    murjha na saka jo kabhi garmi-e-KHizan se

    us phul ko gulchin ki nazar chhoD gai hai

    kya soch ke mashshata-e-zau ru-e-ufuq par

    uljhe hue gesu-e-sahar chhoD gai hai

    ai maslahat-e-waqt ye kyon aatish-e-haalat

    basti mein akela mera ghar chhoD gai hai

    main qatl hua hun to mere KHun ki har bund

    tariKH ke daman par asar chhoD gai hai

    paDte hi 'kamal' us ki nazar mujh pe ba-sad-naz

    ilzam-e-mohabbat mere sar chhoD gai hai

    Source:

    Lahja-e-Ghazal (Pg. 129)

    • Author: Kamal Lakhnavi
      • Publisher: Kamal Lakhnavi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now