tuf ba-mashuq-mizajaan sar-e-har-yar pe KHak
tuf ba-mā'shūq-mizājāñ sar-e-har-yār pe ḳhaak
Dhal ga.e hosh to ab ḳhāma-e-bedār pe ḳhaak
zohd-o-be-dād baham nā'ra-e-takbīr meñ haiñ
lā'nteñ bar-sar-e-mehrāb o sar-e-dār pe ḳhaak
ab suhūlat bhī ga.ī haath se sar phoḌne kī
Daal aayā huuñ ḳhud hī dasht kī dīvār pe ḳhaak
sabz poshāk pe surḳhī sī ubhar aa.ī hai
vālī-e-hurmat-e-kā'ba tirī zunnār pe ḳhaak
rozgār aur bhī bāham haiñ junūñ ko mere
gulshan-e-vahshat-e-sahrā tire gulnār pe ḳhaak
aao ai fitna-garo sehn-e-zabīhāñ ko chaleñ
mal ke aa jaao zarā ‘āriz-o-ruḳhsār pe ḳhaak
nok-e-mizgān jo uThtī hai to ro paḌtī hai
vādī-e-'ishq-e-masāfat ke har ik ḳhaar pe ḳhaak
ham husainī haiñ vatīra hī rahā hai apnā
aaj ke aaj hī mal deñ tirī talvār pe ḳhaak
tuf ba-ma'shuq-mizajaan sar-e-har-yar pe KHak
Dhal gae hosh to ab KHama-e-bedar pe KHak
zohd-o-be-dad baham na'ra-e-takbir mein hain
la'nten bar-sar-e-mehrab o sar-e-dar pe KHak
ab suhulat bhi gai hath se sar phoDne ki
Dal aaya hun KHud hi dasht ki diwar pe KHak
sabz poshak pe surKHi si ubhar aai hai
wali-e-hurmat-e-ka'ba teri zunnar pe KHak
rozgar aur bhi baham hain junun ko mere
gulshan-e-wahshat-e-sahra tere gulnar pe KHak
aao ai fitna-garo sehn-e-zabihan ko chalen
mal ke aa jao zara ‘ariz-o-ruKHsar pe KHak
nok-e-mizgan jo uThti hai to ro paDti hai
wadi-e-'ishq-e-masafat ke har ek KHar pe KHak
hum husaini hain watira hi raha hai apna
aaj ke aaj hi mal den teri talwar pe KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.