tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya

Obaidullah Khan Mubtala

tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya

Obaidullah Khan Mubtala

MORE BY Obaidullah Khan Mubtala

  tujh chehra-e-gul-rañg niiñ ḳhūbāñ ko gul-gūnī diyā

  tere lab yāqūt ne mujh dil kuuñ pur-ḳhūnī diyā

  dīvāna ho ghar chhoḌ kar jaatā rahā sahrā taraf

  ai rashk-e-lailā ne jab āshiq ko majnūnī diyā

  mazmūn aalī bāñdhtā huuñ tere qad vasf meñ

  mujh tab.a kuuñ sohbat ne terī jab se mauzūnī diyā

  barjā hai gar maġhrūr huuñ apne dilāñ meñ shā.irāñ

  nirḳh-e-suḳhan kuuñ tujh suḳhan-fahmī ne afzūnī diyā

  farhat sūrat niiñ nazar aa.ī mujhe ai nūr-e-chashm

  terī judā.ī meñ magar aalam ko mahzūnī diyā

  dīdār hai ishtihā saaf ai tabīb-e-mehrbāñ

  tujh shauq ne goyā mujhe ma.ajūn-zar.ūnī diyā

  kahte haiñ saare barahman mujh 'mubtalā' suuñ ai sanam

  zunnār-e-gesū khol tuuñ har dil kuuñ baftūnī diyā

  tujh chehra-e-gul-rang nin KHuban ko gul-guni diya

  tere lab yaqut ne mujh dil kun pur-KHuni diya

  diwana ho ghar chhoD kar jata raha sahra taraf

  ai rashk-e-laila tu ne jab aashiq ko majnuni diya

  mazmun aali bandhta hun tere qad ki wasf mein

  mujh taba kun sohbat ne teri jab se mauzuni diya

  barja hai gar maghrur hun apne dilan mein shairan

  nirKH-e-suKHan kun tujh suKHan-fahmi ne afzuni diya

  farhat ki surat nin nazar aai mujhe ai nur-e-chashm

  teri judai mein magar aalam ko mahzuni diya

  didar ki hai ishtiha saf ai tabib-e-mehrban

  tujh shauq ne goya mujhe majun-zaruni diya

  kahte hain sare barahman mujh 'mubtala' sun ai sanam

  zunnar-e-gesu khol tun har dil kun baftuni diya

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY