Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhko aati hai dilase ki nahin baat koi

Rangin Saadat Yaar Khan

tujhko aati hai dilase ki nahin baat koi

Rangin Saadat Yaar Khan

MORE BYRangin Saadat Yaar Khan

    tujh ko aatī hai dilāse nahīñ baat koī

    kis tarah tujh se rakkhe jaan mulāqāt koī

    lag chale tujh se vo khānī ho jise laat koī

    haath kis tarah lagā de tujhe haihāt koī

    Dar se maiñ chup huuñ tire varna bharī majlis meñ

    baat kartā hai koī tujh se ishārāt koī

    mil ga.e raah meñ kal vo to kahā 'rañgīñ' ne

    kis tarah tum se kare ab basar-auqāt koī

    kuchh to insāf bhalā kījiye dil meñ apne

    tum ne maanī bhī kabhī merī ajī baat koī

    tujh ko aati hai dilase ki nahin baat koi

    kis tarah tujh se rakkhe jaan mulaqat koi

    lag chale tujh se wo khani ho jise lat koi

    hath kis tarah laga de tujhe haihat koi

    Dar se main chup hun tere warna bhari majlis mein

    baat karta hai koi tujh se ishaaraat koi

    mil gae rah mein kal wo to kaha 'rangin' ne

    kis tarah tum se kare ab basar-auqat koi

    kuchh to insaf bhala kijiye dil mein apne

    tum ne mani bhi kabhi meri aji baat koi

    Source:

    intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 73)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now