tujh pe sab kuchh luTa ke kya karti
tujh pe sab kuchh luTā ke kyā kartī
aur ḳhud ko bachā ke kyā kartī
merā chehrā udaas rahtā hai
aa.ine ko dikhā ke kyā kartī
dil tumhāre binā nahīñ lagtā
lag bhī jaatā lagā ke kyā kartī
vo kisī baat par nahīñ hañstā
maiñ latīfe sunā ke kyā kartī
lafz zaḳhmoñ se risne lag ga.e the
in ko dil meñ dabā ke kyā kartī
vo to mehmān ban ke aayā thā
der tak phir biThā ke kyā kartī
tum ko ik gift bhī na de pā.ūñ
aise paise kamā ke kyā kartī
tujh pe sab kuchh luTa ke kya karti
aur KHud ko bacha ke kya karti
mera chehra udas rahta hai
aaine ko dikha ke kya karti
dil tumhaare bina nahin lagta
lag bhi jata laga ke kya karti
wo kisi baat par nahin hansta
main latife suna ke kya karti
lafz zaKHmon se risne lag gae the
in ko dil mein daba ke kya karti
wo to mehman ban ke aaya tha
der tak phir biTha ke kya karti
tum ko ek gift bhi na de paun
aise paise kama ke kya karti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.