tujh sa yun be-KHabar nahin dekha
tujh sā yuuñ be-ḳhabar nahīñ dekhā
lauT ke ik nazar nahīñ dekhā
vo dikhā.ī nahīñ diyā mujh ko
us ko maiñ ne kidhar nahīñ dekhā
ham ne dekhe hasīn lākhoñ haiñ
koī tum sā magar nahīñ dekhā
baat pe apnī maiñ to qaa.em huuñ
phir palaT ke udhar nahīñ dekhā
maut thī sāmne magar phir bhī
aañkh meñ us kī Dar nahīñ dekhā
'ishq kā dard bhuul jaa.e jo
tujh sā koī 'zafar' nahīñ dekhā
tujh sa yun be-KHabar nahin dekha
lauT ke ek nazar nahin dekha
wo dikhai nahin diya mujh ko
us ko main ne kidhar nahin dekha
hum ne dekhe hasin lakhon hain
koi tum sa magar nahin dekha
baat pe apni main to qaem hun
phir palaT ke udhar nahin dekha
maut thi samne magar phir bhi
aankh mein us ki Dar nahin dekha
'ishq ka dard bhul jae jo
tujh sa koi 'zafar' nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.