tujhse kuchh is tarah hun wabasta
tujh se kuchh is tarah huuñ vābasta
ruuh jaise badan meñ paivasta
pyaar kī ik nazar mirī qīmat
dekh maiñ kis qadar huā sastā
daam phailā rakhe haiñ kyoñ itne
tā.ir-e-dil to aap hai phañstā
ziist kī Dor Tuut bhī jaa.e
'ishq se par na hoñge vārasta
maqtal-e-husn ko chalā huuñ maiñ
jāñ-ba-kaf musta'id kamar-basta
maiñ ne haq baat kī sar-e-mahfil
bar-mahal be-dareġh barjasta
us ko saudā-e-dasht-e-dāman hai
ashk dil ke nagar nahīñ bastā
hai nashāt-e-ġham-e-vafā bhī 'ajīb
kabhī rotā hai dil kabhī hañstā
chashm-e-gul-bāz zaḳhm zaḳhm huī
jab sajā ashk ashk guldasta
kitnī rātoñ ko pā.emāl kiyā
tab khulā rāz-e-'ishq sar-basta
tujh se kuchh is tarah hun wabasta
ruh jaise badan mein paiwasta
pyar ki ek nazar meri qimat
dekh main kis qadar hua sasta
dam phaila rakhe hain kyon itne
tair-e-dil to aap hai phansta
zist ki Dor Tut bhi jae
'ishq se par na honge warasta
maqtal-e-husn ko chala hun main
jaan-ba-kaf musta'id kamar-basta
main ne haq baat ki sar-e-mahfil
bar-mahal be-daregh barjasta
us ko sauda-e-dasht-e-daman hai
ashk dil ke nagar nahin basta
hai nashat-e-gham-e-wafa bhi 'ajib
kabhi rota hai dil kabhi hansta
chashm-e-gul-baz zaKHm zaKHm hui
jab saja ashk ashk guldasta
kitni raaton ko paemal kiya
tab khula raaz-e-'ishq sar-basta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.