tujh tak aane-jaane mein hi TuT gae
tujh tak āne-jāne meñ hī TuuT ga.e
dīvāne vīrāne meñ hī TuuT ga.e
vo auroñ ko kāñdhā dene vaale the
apnā bojh uThāne meñ hī TuuT ga.e
ham jo achchhe fankāroñ meñ shāmil the
ik kirdār nibhāne meñ hī TuuT ga.e
hoñThoñ tak to sirf tamāzat hī pahuñchī
nashshe to paimāne meñ hī TuuT ga.e
kyā un kā phir haal tabāhī meñ hotā
vo to ḳhair manāne meñ hī TuuT ga.e
ham ko apne saath guzāra karnā thā
ham ḳhud ko samjhāne meñ hī TuuT ga.e
uupar to bas chāñdī sonā hī aayā
motī to tah-ḳhāne meñ hī TuuT ga.e
tum ko saarī raat kahānī kahnī thī
tum to ik afsāne meñ hī TuuT ga.e
tujh tak aane-jaane mein hi TuT gae
diwane virane mein hi TuT gae
wo auron ko kandha dene wale the
apna bojh uThane mein hi TuT gae
hum jo achchhe fankaron mein shamil the
ek kirdar nibhane mein hi TuT gae
honThon tak to sirf tamazat hi pahunchi
nashshe to paimane mein hi TuT gae
kya un ka phir haal tabahi mein hota
wo to KHair manane mein hi TuT gae
hum ko apne sath guzara karna tha
hum KHud ko samjhane mein hi TuT gae
upar to bas chandi sona hi aaya
moti to tah-KHane mein hi TuT gae
tum ko sari raat kahani kahni thi
tum to ek afsane mein hi TuT gae
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 96)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.