tum agar sikhna chaho mujhe batla dena
tum agar sīkhnā chāho mujhe batlā denā
'aam sā fan to koī hai nahīñ tohfa denā
ek hī shaḳhs hai jis ko ye hunar aatā hai
ruuTh jaane pe fazā aur bhī mahkā denā
bhāñp lenā ki bahut vaqt nahīñ us ke paas
aur phir us ko kisī bahs meñ uljhā denā
husn duniyā meñ isī kaam ko bhejā gayā hai
ki jahāñ aag lagī ho use bhaḌkā denā
un buzurgoñ kā yahī kaam huā kartā thā
jahāñ ḳhūbī nazar aa.ī use chamkā denā
dil batātā hai mujhe 'aql kī bāteñ kyā kyā
banda pūchhe ki tirā hai koī lenā denā
aur kuchh yaad na rahtā thā laḌā.ī meñ use
haañ magar mere guzishta kā havāla denā
us kī fitrat meñ na thā tark-e-ta'alluq lekin
dūsre shaḳhs ko is nahj pe pahuñchā denā
jāntā thā ki bahut ḳhaak uḌā.egā mirī
koī āsān nahīñ thā use rasta denā
ye vo mansab haiñ jo apnoñ ko diye jaate haiñ
yaad kyā rakhnā ise aur bhulā kyā denā
kyā pata ḳhud se chhiḌī jang kahāñ le jaa.e
jab bhī yaad aa.uuñ mirī jaan kā sadqa denā
dil kā sāmān koī ḳhaak ḳharīde us se
yaad hī jis ko na rahtā ho baqāyā denā
baat karne se gurezāñ nazar aate haiñ magar
ḳhatm hai hazrat-e-'javvād' pe luqma denā
tum agar sikhna chaho mujhe batla dena
'am sa fan to koi hai nahin tohfa dena
ek hi shaKHs hai jis ko ye hunar aata hai
ruTh jaane pe faza aur bhi mahka dena
bhanp lena ki bahut waqt nahin us ke pas
aur phir us ko kisi bahs mein uljha dena
husn duniya mein isi kaam ko bheja gaya hai
ki jahan aag lagi ho use bhaDka dena
un buzurgon ka yahi kaam hua karta tha
jahan KHubi nazar aai use chamka dena
dil batata hai mujhe 'aql ki baaten kya kya
banda puchhe ki tera hai koi lena dena
aur kuchh yaad na rahta tha laDai mein use
han magar mere guzishta ka hawala dena
us ki fitrat mein na tha tark-e-ta'alluq lekin
dusre shaKHs ko is nahj pe pahuncha dena
jaanta tha ki bahut KHak uDaega meri
koi aasan nahin tha use rasta dena
ye wo mansab hain jo apnon ko diye jate hain
yaad kya rakhna ise aur bhula kya dena
kya pata KHud se chhiDi jang kahan le jae
jab bhi yaad aaun meri jaan ka sadqa dena
dil ka saman koi KHak KHaride us se
yaad hi jis ko na rahta ho baqaya dena
baat karne se gurezan nazar aate hain magar
KHatm hai hazrat-e-'jawwad' pe luqma dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.