tum apne dil ko patthar kar rahe ho
tum apne dil ko patthar kar rahe ho
zamīñ zarḳhez banjar kar rahe ho
na jaane kaun se nashtar se tum ye
jarāhat apne andar kar rahe ho
ġhamoñ ko rahne do qatra hī ban kar
ġhamoñ ko kyoñ samundar kar rahe ho
mujhe tum apne andar qaid kar ke
ḳhudī ko ḳhud se bāhar kar rahe ho
baḌhānā hī agar hai fāsla to
mire is dil meñ kyoñ ghar kar rahe ho
tumhārī ruuh tum se kah rahī hai
tum apnā jism khanDar kar rahe ho
tumheñ phir dekhnā degā daġhā vo
bharosa kyoñ safar par kar rahe ho
safar se lauT aao ghar ab apne
yuuñ tanhā kyā bhaTak kar kar rahe ho
tum apne dil ko patthar kar rahe ho
zamin zarKHez banjar kar rahe ho
na jaane kaun se nashtar se tum ye
jarahat apne andar kar rahe ho
ghamon ko rahne do qatra hi ban kar
ghamon ko kyon samundar kar rahe ho
mujhe tum apne andar qaid kar ke
KHudi ko KHud se bahar kar rahe ho
baDhana hi agar hai fasla to
mere is dil mein kyon ghar kar rahe ho
tumhaari ruh tum se kah rahi hai
tum apna jism khanDar kar rahe ho
tumhein phir dekhna dega dagha wo
bharosa kyon safar par kar rahe ho
safar se lauT aao ghar ab apne
yun tanha kya bhaTak kar kar rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.