tum apne KHwabon ke pichhe yar mere hairan bahut ho
tum apne ḳhvāboñ ke pīchhe yaar mire hairān bahut ho
is kāvish meñ ho saktā hai āñkhoñ kā nuqsān bahut ho
pā-e-vahshat se kyoñ sahrā naap rahe ho is 'ujlat meñ
mumkin hai us paar kā manzar is se bhī vīrān bahut ho
jis kī dānā.ī ke charche guuñj rahe haiñ bastī bastī
ho saktā hai vo daana bhī ham jaisā nādān bahut ho
shāyad us ko kho dene hī meñ kuchh mushkil aatī ho
shāyad us ko pā lenā hī duniyā meñ āsān bahut ho
mumkin hai sab aslī chīzeñ vīrāne meñ hī miltī hoñ
ho saktā hai bāzāroñ meñ masnū'ī sāmān bahut ho
jin bātoñ kā yaar mire ab bilkul zikr nahīñ karte haiñ
un bātoñ kā ho saktā hai mahfil meñ e'lān bahut ho
jis kā koī dhyān nahīñ hotā vo mil jaatā hai lekin
aksar vo hī kho jaatā hai jis pal kā imkān bahut ho
tum apne KHwabon ke pichhe yar mere hairan bahut ho
is kawish mein ho sakta hai aankhon ka nuqsan bahut ho
pa-e-wahshat se kyon sahra nap rahe ho is 'ujlat mein
mumkin hai us par ka manzar is se bhi viran bahut ho
jis ki danai ke charche gunj rahe hain basti basti
ho sakta hai wo dana bhi hum jaisa nadan bahut ho
shayad us ko kho dene hi mein kuchh mushkil aati ho
shayad us ko pa lena hi duniya mein aasan bahut ho
mumkin hai sab asli chizen virane mein hi milti hon
ho sakta hai bazaron mein masnu'i saman bahut ho
jin baaton ka yar mere ab bilkul zikr nahin karte hain
un baaton ka ho sakta hai mahfil mein e'lan bahut ho
jis ka koi dhyan nahin hota wo mil jata hai lekin
aksar wo hi kho jata hai jis pal ka imkan bahut ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.