tum guzre the kis jaldi se
tum guzre the kis jaldī se
dekh rahā thā maiñ khiḌkī se
maiñ īmān nahīñ bechūñgā
roTī khā lūñgā chaTnī se
sil ko bhī dil kar detā hai
ġham achchhā hotā hai ḳhushī se
jis jis ne vo āñkheñ dekhīñ
tauba kar lī mai-noshī se
nafsā-nafsī kā 'ālam hai
rakh na 'sha'ūr' ummīd kisī se
tum guzre the kis jaldi se
dekh raha tha main khiDki se
main iman nahin bechunga
roTi kha lunga chaTni se
sil ko bhi dil kar deta hai
gham achchha hota hai KHushi se
jis jis ne wo aankhen dekhin
tauba kar li mai-noshi se
nafsa-nafsi ka 'alam hai
rakh na 'sha'ur' ummid kisi se
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 75)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.