tum hamare qarib aane ko
tum hamāre qarīb aane ko
karte rahte ho ḳhush zamāne ko
us ke kūche kā farsh pakkā hai
haath maltā huuñ ḳhaak uḌāne ko
chalnā phirnā koī zarūrī nahīñ
us kī mahfil meñ aane jaane ko
jab ki maiñ ne samajhnā chhoḌ diyā
vo tulā hai samajh meñ aane ko
use kaise bhulā.e koī jise
yaad karnā paḌe bhulāne ko
tum to sab kuchh batā.e dete ho
kuchh bachā kar rakho chhupāne ko
us ne kuchh der sun liyā varna
kaun suntā mire fasāne ko
terī maujūdgī meñ kam se kam
jī to kartā hai muskurāne ko
tum hamare qarib aane ko
karte rahte ho KHush zamane ko
us ke kuche ka farsh pakka hai
hath malta hun KHak uDane ko
chalna phirna koi zaruri nahin
us ki mahfil mein aane jaane ko
jab ki main ne samajhna chhoD diya
wo tula hai samajh mein aane ko
use kaise bhulae koi jise
yaad karna paDe bhulane ko
tum to sab kuchh batae dete ho
kuchh bacha kar rakho chhupane ko
us ne kuchh der sun liya warna
kaun sunta mere fasane ko
teri maujudgi mein kam se kam
ji to karta hai muskurane ko
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 112)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.