Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum ho bazm-e-aish hai wan aur sohbat-dariyan

Mirza Ali Lutf

tum ho bazm-e-aish hai wan aur sohbat-dariyan

Mirza Ali Lutf

MORE BYMirza Ali Lutf

    tum ho bazm-e-aish hai vaañ aur sohbat-dāriyāñ

    ham haiñ kunj-e-ġham hai yaañ aur jaan se bezāriyāñ

    tum ko sair-e-bāġh-o-gul-gasht-e-chaman vaañ hai shauq

    yaañ badan par haiñ hujūm-e-dāġh se gul-kāriyāñ

    dhyān hai ārā.ish-e-zulf-e-pareshāñ tumheñ

    yaad haiñ hāl-e-pareshāñ mirī kuchh ḳhvāriyāñ

    tum safā-e-sā.id-o-bāzū dikhāte ho vahāñ

    ham pe yaañ mū-e-badan karte haiñ nashtar-dāriyāñ

    tum ne dikhlā.ī vahāñ piiTh aur choTī phaban

    yaañ mirī chhātī pe haiñ kaale ne lahreñ māriyāñ

    nek-o-bad donoñ se yaañ ham ne to āñkheñ muuñd liiñ

    tum vahāñ chitvan dikhlāte ho jādū-kāriyāñ

    yaañ ba-rañg-e-paikar-e-tasvīr ham ḳhāmosh haiñ

    guftugū tum dikhāte ho vahāñ tarrāriyāñ

    qahqahe tum mārte ho vaañ ba-āvāz-e-buland

    dushmanoñ se yaañ chhupā kar ham haiñ karte zāriyāñ

    har marīz-e-ġham jāñ-baḳhshī hai vaañ tum ko dhyān

    khiñch ga.iiñ yaañ tūl-e-shiddat se mirī bīmāriyāñ

    iztirāb-e-dil se be-parda huā yaañ rāz-e-ishq

    sūjhtī haiñ vaañ tumheñ har baat meñ tahdāriyāñ

    kyā kisī se baat kiije bhūlte ik dam nahīñ

    un bhalāoñ se vo bātoñ meñ tirī ayyāriyāñ

    chhīn kar bātoñ meñ dil ko 'lutf' se vo but bane

    yaad rakhnā ġhair karnā vahāñ dil-dāriyāñ

    tum ho bazm-e-aish hai wan aur sohbat-dariyan

    hum hain kunj-e-gham hai yan aur jaan se bezariyan

    tum ko sair-e-bagh-o-gul-gasht-e-chaman ka wan hai shauq

    yan badan par hain hujum-e-dagh se gul-kariyan

    dhyan hai aaraish-e-zulf-e-pareshan ka tumhein

    yaad hain haal-e-pareshan ki meri kuchh KHwariyan

    tum safa-e-said-o-bazu dikhate ho wahan

    hum pe yan mu-e-badan karte hain nashtar-dariyan

    tum ne dikhlai wahan piTh aur choTi ki phaban

    yan meri chhati pe hain kale ne lahren mariyan

    nek-o-bad donon se yan hum ne to aankhen mund lin

    tum wahan chitwan ki dikhlate ho jadu-kariyan

    yan ba-rang-e-paikar-e-taswir hum KHamosh hain

    guftugu ki tum dikhate ho wahan tarrariyan

    qahqahe tum marte ho wan ba-awaz-e-buland

    dushmanon se yan chhupa kar hum hain karte zariyan

    har mariz-e-gham ki jaan-baKHshi ka hai wan tum ko dhyan

    khinch gain yan tul-e-shiddat se meri bimariyan

    iztirab-e-dil se be-parda hua yan raaz-e-ishq

    sujhti hain wan tumhein har baat mein tahdariyan

    kya kisi se baat kije bhulte ek dam nahin

    un bhalaon se wo baaton mein teri ayyariyan

    chhin kar baaton mein dil ko 'lutf' se wo but bane

    yaad rakhna ghair ki karna wahan dil-dariyan

    Source:

    Dewan-e-Lutf (Pg. 78)

    • Author: Mirza Ali Lutf
      • Edition: 1983
      • Publisher: Idara Sher-o-Hikmat, Hyderabad
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now