tumko chaha bhi magar tumko pukara bhi nahin
tum ko chāhā bhī magar tum ko pukārā bhī nahīñ
maiñ to ḳhud kā bhī nahīñ huuñ aur tumhārā bhī nahīñ
mujh se mil bhī to nahīñ paa.e judā ho bhī ga.e
tum 'ajab kal ho tumheñ maiñ ne guzārā bhī nahīñ
jaan kī qīmat lagā kar phir ḳharīdā kyoñ nahīñ
jaan baḳhshī bhī nahīñ kyoñ jaañ se maarā bhī nahīñ
dhuup se ġham kī bacho ab tum bhī 'aḳhtar-āzmī'
soch lo zulf-e-ḳhamīda kā sahārā bhī nahīñ
tum ko chaha bhi magar tum ko pukara bhi nahin
main to KHud ka bhi nahin hun aur tumhaara bhi nahin
mujh se mil bhi to nahin pae juda ho bhi gae
tum 'ajab kal ho tumhein main ne guzara bhi nahin
jaan ki qimat laga kar phir KHarida kyon nahin
jaan baKHshi bhi nahin kyon jaan se mara bhi nahin
dhup se gham ki bacho ab tum bhi 'aKHtar-azmi'
soch lo zulf-e-KHamida ka sahaara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.