tum mujhe DhunDte rah jaoge pagal ki tarah
tum mujhe DhūñDte rah jāoge pāgal kī tarah
maiñ chalā jā.ūñgā barsāt ke bādal kī tarah
jāntā huuñ ki nigāhoñ se girā doge mujhe
kyoñ sajāte ho mujhe aañkh meñ kājal kī tarah
paañv jis vaqt uThātā huuñ maiñ manzil kī taraf
uljhaneñ raah meñ aa jaatī hai daldal kī tarah
ab to sone bhī nahīñ detī tirī yaad mujhe
mere ḳhvāboñ meñ khanak uThtī hai paa.el kī tarah
be-ruḳhī ne tirī is moḌ pe pahuñchāyā hai
ab to bastī meñ bhī Dar lagtā hai jangal kī tarah
tum mujhe DhunDte rah jaoge pagal ki tarah
main chala jaunga barsat ke baadal ki tarah
jaanta hun ki nigahon se gira doge mujhe
kyon sajate ho mujhe aankh mein kajal ki tarah
panw jis waqt uThata hun main manzil ki taraf
uljhanen rah mein aa jati hai daldal ki tarah
ab to sone bhi nahin deti teri yaad mujhe
mere KHwabon mein khanak uThti hai pael ki tarah
be-ruKHi ne teri is moD pe pahunchaya hai
ab to basti mein bhi Dar lagta hai jangal ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.